83 E Auction For DD Free Dish Mpeg2 Slots

4.5/5 - (2 votes)

Prasar bharti ne MPEG2 slots ke liye 83 e auction ko announce kar diya hai. Jiske according currently vacant slot ko fill karne ke liye private tv channels se application fill karne ki demand ki gayi hai. 83 E Auction me koi bhi channel participate kar sakta h. Channels ke participate karne ki last date 20 November 2024 rakhi gayi hai.

83 E Auction Date –

Mpeg2 slots ke liye 83 E Auction ko start karne ki date 21 November 2024 rakhi gayi hai. Agar E Auction hua to, ho sakta h ki ye e auction 22 november tak chale. Agar koi channel interest dikhata hai to uske baare me 20 november ko hi social media par pata chal jayega. Vaise hum bhi aapko inform kar denge.

When New Channels Add In MPEG2

Prasar bharti ne 83 E Auction ke winner channels ka license 27 November 2024 to 31 March 2025 tak ka rakha hai. Agar koi channel winner raha to 27 November se aap sabhi-apne apne free to air set top boxes me unko dekh paoge.

How Many Bucket Available in 83 E Auction –

83 e auction

 

How Many Channels Are Waiting –

Current ki baat kare to 10 aise channels testing mode me chal rahe h. Jo dd free dish par aane ka wait kar rahe h. Lekin last 3-4 e auction ki history check ki jaye to sabhi e auction ko cancel karna pada. Jiska reason tha prasar bharti dwara demand payment. Wo itni high h ki sabhi us amount ko pay nahi kar paate . Jiski vajah se kisi bhi channel last e auction me participate hi nahi kiya.

Aisa lagta hai ki 83 E Auction bhi aisa hi rahne wala h. Iske regarding jaise hi or koi new update aati h to hum aapko inform kar denge.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *